Apr 16, 2020

Woh Ek Shakhs…Janti ho tum ?


Woh Ek Shakhs…Janti ho tum ?
Wohi  jo be-towajhi kay sabab
Hamesha bay Usool rehta tha

Woh Ek Shakhs…Janti ho tum 
Woh jisay neend bohat peyari thi,
 Woh jo aik khuwab kay assar mein tha
Woh jo La-ilam raha manzil say
Wohi jo umar bhar safar mein tha

Woh Ek Shakash…Janti ho tum ?
Jis nay khushbu ki tamna ki thi, 
Aur Rondhay Gulab thay
Jis nay apni hi Naikion kay sabab, 
Azaab paye thay

Wo Ek Shakhas…Janti ho tum ?
Wo jis ka Deen bas Mohabbat tha, 
Wo jis ka Imaan wafaein thien
Wo jis ki soch bhi pareshan thi
Wo jis k Lab pay faqat duaen thien, 
Wohi uljhi hui si baton wala
Mohabbaton say Dar geya kal shab,
 Hijar k dukh ko sehtay sehtay
Wo Shakhs Mar geya kal shab

Aao ab Laash uthao uski,
 Wo jo tere Assar mein rehta tha
Aao ab sogh mnao uska, 
Wo jo suraj ko Qamar kehta tha

Mohabbaton say Dar geya kal shab
Wo Shakhs…Mar geya kal shab

Kuch kashish dil-baron main hai hi nahin





Kuch kashish dil-baron main hai hi nahin
Rung woh mehfilon main hai hi nahin

Har taraf teri Ro-numai hai
Aur kuch Aainon mein hai hi nahin

Jo tujhay munfarid banati hai
Baat woh dusron mein hai hi nahin

Mera kitna khyal hai uss ko
Jo meray doston mein hai hi nahin

Sab kay sab silsaly ussi kay hain
Jo meray silsalon mein hai hi nahin

Wo meray raabton mein rehta hai
Jo meray raabton mein hai hi nahin

Haan!

Wohi to hai Masla mera
Jo meray maslon mein hai hi nahin

Jis kinarey humein utrna hai
Wo teray sahilon mein hai hi nahin

Sab kay shaano par sar salamat hain
Koi soda saron mein hai hi nahin

Us ka Ehsaan mand hoon
Jo meray mohsano mein hai hi nahin

Tum Bin Udaas Hoon



Tum Bin Udaas Hoon

Dukh hoon
Dard hoon
Saaz hoon

Ya beetay dino ki awaz hoon
Mein jo kuch bhi hoon
Jo koi bhi hoon
“Tum Bin Udaas Hoon”

Jab Milnay Laga Us ki Mohabbat Mein Sakoon





Jab Milnay Laga Us ki Mohabbat Mein Sakoon
Phir Yun Hua Wo Mera Sath Chor Gaya

Abi Bhout Baqi Thein Hasraten Dil Mein
Magr Wo Shakhs Adhuri Mulaqat Chor Gaya

Fakhar To yeh hai Keh Wo tha Mera Humsafar Kbhi
Dukh Yeh Hai Keh Beech Rah mein Wo Mera ‘HATH’ Chor gaya

Bin Us k Rehna Ab Ek Azaab sa Lagta hai
Na jany Zindgi mein wo kaisy JAZBAT chor Gaya

Wo bewafa Shakhs To chala Gaya ZindGi se
Magar Ankhon mein meri Ansuon Ki “BARSAT” Chor Gaya

Kabhi jo Ehsaas ho tum ko



Kabhi jo Ehsaas ho tum ko

Keh Tum acha nahi kartay

Jo mujh ko youn rulatay ho

Lahoo mera jalatay ho

Ager is Aagh mein jal kar

Main ik din raakh ho jaon

Mujhay dil se bhulaa dena

Samunder mein baha dena

mager yeh yaad rakhna tum

Khuda se yeh dua karna

Keh jo Acha lagey tum ko

Woh tum jaisa na ho hargiz

Wagarna tum bhi rogey

Mujhay jaisey rulatay ho

Uzr aany mein bhi hai aur bhulatey bhi nahi


Uzr aany mein bhi hai aur bhulatey bhi nahi
Baa’is_e_tark_e_mulaqaat btatey bhi nahin

Khoob parda hai keh Chilman say lagay baithay hain
Saaf chupty bhi nahi , Samnay aaty bhi nahin

Dekhtay hi mujhay Mehfil mein Yeh irshaad hua
Kon baitha hai? issay log uthaatey bhi nahin

Ho chuka Qata-e-Talluq to Jafayen kiyon hon
Jin ko mtalab nahin rehta woh Satatey bhi nahin

Zeest say Tang ho aay Daagh to jeetey kiyon ho
jaan payari bhi nahi , jaan say jaatey bhi nahin

Sukoot-e-jaan ka matlab bata do phir chalay jana



Sukoot-e-jaan ka matlab bata do phir chalay jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana

Jo mera aur tumhara waqt guzra hansne rone mein
Ussay poori tarah se tum bhula do phir chalay jana

Ya sare pairh podhe tere bin ek rut jage hue
Tum aa ke aik baar in ko sula do phir chalay jana

kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
Jo hai ehsaas tum us ko mita do phir chalay jana

Bus itni si hansi se apne ashkon ko chupane ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikha do phir chalay jana

Wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maanay se
Bus in alfaz-o-maanay ko mita do phir chalay jana

Jo tum kehtay kehtay ruk gaye, un sari batoon ki
sa'ma`at ko talab hai wo suna do phir chalay jana

Na jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-wajah aadat churha do phir chalay jana

Mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bas tum ho
Mujhe tum doosra unwaan laa do phir chalay jana

Khula hai Jhoot ka bazar, Aao such bolein


Khula hai Jhoot ka bazar, Aao such bolein
Na ho bala say Kharidar, Aao such bolein

Sukoot chahya hai insaniyat ki Qadron par
Yehi hai moqa-e-izhaar, Aao such bolein

Humein gawah banaiya hai waqat nay apna
Be-naam-e-azmat-e-kirdar, Aao such bolein

Suna hai waqat ka Haakim bara hi Musanif hai
Pukar kar sar-e-darbar, Aao such bolein

Tamam shehar mein aik bhi nahi “Mansoor”
Kahein gay kea rasan o daar, Aao such bolein

Jo “wasaf” hum mein nahi kyon krein kisi mein talaash
Agar Zameer hai bay-daar, Aao such bolein

Chupaaye say kaheen chuptay hain Daag chehray kay
Nazar hai Aaina bardaar, Aao such bolein

Qateel jin pe sada Pathron ko Peyar aya
Kidhar gaye woh Gunah-gaar, Aao such bolein

Saaqi Kahan Se Laoun, Jaam Kahan Se Laoun



Saaqi Kahaan Se Laoun, Jaam Kahan Se Laoun 
May’Khana Hai Band, Sharab Kahan Se Laoun 

Ek Baar Faqat Bhool Baitha Tha Tujhe 
Ussay Bhoolnay Ki Saza Kahaan Se Laoun 

Ab To Milta Nahi Maseeha Koi Is Shehar Main
Is Dard Ki Dua Kahaan Se Laoun 

Ab Tak Sunaee Deti Hain Teray Kadmon Ki Aahat Per Dil Per
Is Dewaangi Ki Inteha Kahaan Se Laoun 

Ab To Bhali Nahi Lagti Kaanon Ko Koi Awaaz
Teri Choorion Ki Jhankaar Kahaan Se Laoun 

Wo Teri Palkon Ka Madham Madham Uthna Girna
Wo Pakeezgi Wo Haya Kahaan Se Laoun 

Wo Teri Kaali Bal Khati Nagan Si Zulfain
Is Zehar Ka Taryaaq Kahaan Se Laoun 

Lafaz He Chin Gay Goya Tumhare Janay Kay Baad Faraz
Uthay Hain Haath Par, Dua Kahan Se Laoun 

Wo hamesha mujh se mujh ko jeet jaati hai


Wo hamesha mujh se mujh ko jeet jaati hai
Jung jub bhi ho wafa ki wo hans ke jeet jaati hai

Main chalata rehta hoon teer chahat kay
Wo kar kay waar Aankhon say jeet jaati hai

Roz banata hun nayi fouj lafzon ki
Wo har lafaz ki talwaar tor , jeet jaati hai 

Ajeeb alaam hota hai lafzon ki jung ka
karwa kay mujhay khamosh wo lafaz jeet jati hai

Jeet ki jung wo muj say puchti hai
Har bar tmhari jaan kaisay jeet jaati hai 

Jung ekhtatam hui 

Mal-e-ghanimat Main howi ,wafa bandi
Wo khud ko haar ke sub kuch jeet jati hai 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...